Alerts

Degree to Degree hoti hai , jinnah uni ki ho ya AXACT ki

Friday, 28 February 2014

KYA PAKISTAN NE HAMARE LIYE KUCH NAHI KIYA?

ALLAH TA'ALA ne insaan banaye aur un mein sochne ki, samajhne ki aur parhnay likhne ki silaahiyat ataa ki jiske liye hamain ALLAH ka shukar adaa karna chahiye. Lekin phir bhi kuch log is cheez ko soch samajh nahi paatay aur shukar adaa nahi karte. Logon ko ab tak cheezon ki qadr karna nahi aayi. Insaan kisi haal mein khush nahi rehta yeh to suna hai haan yeh such bhi hai aur iska andaza is baat se lagaya jasakta hai ke aaj kal apne mulk ko hi bura bhala kehna aam hogaya hai.

Aksar humne logon ko kehte suna hai ke 'PAKISTAN NE HAMARE LIYE KUCH NAHI KIYA' to kya yeh such hai??? kya waqai Pakistan ne hamare liye kuch nahi kiya??? Pakistan ne hamain pehchaan di, rehne ki jagah di phir bhi hum hamesha apne mulk ko bura kehte rahay jabke mulk bura nahi balkay isme rehne walay log buray hain. Kya kabhi kisi ne yeh socha ke humne Pakistan keliye kya kiya hai??? Kya hum Pakistani keh laanay ke laaiq hain??? Kya hum apne mulk mein MEHMAANO ki tarah nahi reh rahay??? Kya kabhi buraayi ke khilaaf kisi ne awaaz uthaayi??? kabhi kisi ne khud se yeh sawaal nahi kiye. Pakistan ne hamare liye bohot kuch kiya hai. Hum apne ghar ko saaf rakhte hain lekin apne mulk ko kharab karte hain.

Kabhi kisi cheez ko bura kehne se pehle hamain khud ko dekhna chahiye ke hum kitne sahi hain phir hamain kisi cheez mein burayi nazar nahi aayegi. Hamain pehle khud ko saaf karna hoga aur apne mulk keliye, mulk ki behtari keliye aagay barhna hoga. In Shaa ALLAH ek din PAKISTAN se saari buraiyaan khatam hongi aur yeh mulk bhi aagay barhega. I LOVE MY COUNTRY. I LOVE PAKISTAN. LONG LIVE PAKISTAN. 
PAKISTAN ZINDABAD...

7 comments: