Maa Is Duniya Mai Sab Sey Anmol Rishta Hei Ye Kehna Galat Na Ho Ga Is Duniya Mai Sab Sey Pur Khaloos Or Muhabat Karny Wali Hasti Sirf Maa Hei Hai. Apny Bachy Ko Janam Dyti Hai Usy Is Duniya Ki Sard O Garam Hawa Sy Mehfooz Rakhti Hai Or Agar Kabhi Aulad Ki Jan Par Ban Jaey Tou Apni Jan Dyny Sey Bhi Dareig Nae Karti.
Par
Lahore Johar Town Ki Bisma Kaisi Maa Hai? Kia Wo Is Duniya Ki Makhlooq Hai ? Kia Us K Seeny Mai Maa Ka Dil Nae? Kia Us K Dil Mai Khuda Ka
Khoof Nae? Kia Wo Ek Achi Maa Nae? Akhir Kiun ? Us Ny Apny 2 Masoom Bachoon Ko
Apny Hei Hatoon Mout K Muh Mai Daal Diyaa. 2 Sala Minahel Or 8 Mah K Yousaf Ney
Aisa Kon Sa Gunah Kia K Un Ko Itni Bhiyanak Saza Mili K Wo Is Duniya Ko Dekhyy
Bagair Hei Iss Duniya Sy Chaly Gaey. Wo Bhi Kia Lamhat Hon Gayn Jab Bisma Ney
Donu Bachon Ko Mout Ki Wadi Mai Pohanchaya Ho Ga Tou Arsh Or Farsh Tak Kamp Gaey Hon Gayn.
Masoom Manahil Ny Na Tou Koi Zid Ki Or Na Hei Koi Farmaish Pir Bhi Maa Ney Isko
Pani Mai Dabo Diya. Yousaf Tou Sheir Khuwar Tha Ya Tou Wo Hansta Ho Gay A Pir
Ro Ro K Doodh Mangta Ho Ga Jab Maa Ney Osko Takiya Rakh K Mara Ho Ga Tou Us Ko
Rony Ka Bhi Moqa Nae Mila Ho Ga Or Wo Wapis Janat Chala Gya Ho Ga Jahan Sey Wo
Aya Tha.
Zamana Keh Raha Hai Bisma Ko
Phansi Do Wo Zalim Maa Hai Or Ek Safaak Aurat Hai Us Ko Kabhi Maafi Nae Milni
Chahye. Ye Do Masoom Phoolon Ki Qatil Hai Ye Aurat Pagal Hei. Lakin Aisa Nae
Hai Bisma K Dil Mai Bhi Mamta Hai Wo Bhi Maa Ka Dil Rakhti Hai Jo Apki Mari Maa
K Pass Hai. Bisma K Pass Aannaj K Chand Dany Nae Thy Jis Sey Wo Apny Bachon Ka
Pait Bharti. Bachon Ney Na Tou Khiloney
Mangy Thy Na Hei Chocolate Itna Shaoor Hei Nae Kahan Tha In Masoom Bachoon Mai
Bas Teen Din Sy Bhook Sy Bilbala Rhey Thy. Shohar Nasha Karta Hai Upar Sy
Berozgari Hai Bisma Ko Badqari Par Oksata. Ek Safaid Posh Aurat Apny Bachon Ko
Ley K Bheek Mangti, Ya Unko Kisi Falahi Idaron K Jhooly Mai Dal Dyti Ya Apni
Izat Bech Kr Bachon K Muh Mai Doodh K Chand Katrey Dalti . Is Liye Dukhon Ki
Mari Hoi Maa Ney Bachon Ko ALLAH K Amaan Mai Dyney Ka Faisla Kiya.
Waisy Bhi Jis Mulk Mai Hukmaraan
Sirf Kursi K Barey Mai Sochty Hon Wo Awaam Ki Kia Parwah Karein Gayn. Ameer,
Ameer Tar Or Ghareib, Ghareib Tar Hota Ja Raha Hai Tou Unki Zaat Ko Kia Fark
Parta Hai. Lahore Mai Jahan Hakomat Itny Aalami Record Bananey Mai Masroof Ti
Wahan Masharey Ki Be Hisi Ka Bhi Record Ban Geya Ek Maa Ney Apny Bachon Ko
Khud Qatal Kar Diya
Sirf Hakumat Ko Kia Dosh Dein
Masharey Ki Behisi Bhi Urooj Par Hei K Dewar K Sth Jurey Ghar Mai Koi Teen Din
Sy Bhoka Kuch Maloom Hei Nae. Ab Bhi Waqt Hai Or Maon Ko Bisma Baney Sy Rokha
Ja Sakta Hai Agar Ham Masharey Mai Ek Dosarey Ka Ahsaas Karna Shuru Ho Jayn Ek
Dosarey Ki Madad Karein Zakat Dein Sadka O Kherait Dein Tou Shayad Aisa Waqiya
Pir Na Ho.…
Outstanding post
ReplyDeleteBrilliant effort
ReplyDelete