Alerts

Degree to Degree hoti hai , jinnah uni ki ho ya AXACT ki

Wednesday 5 March 2014

FACEBOOK

FACEBOOK…..aj kal k dour main FACEBOOK  ka naam sun k sab k dilon main khushi ki lehar dorh jati hai, MARK ZUCKERBERG  insan  hei ya  jadogar  jis ny ek social website bana k puri duniya py  jadu kardia hai.  Modern zamany ki technologies main ghery  sust  insane  ko Facebook ny mazeed sust banadia hy k edhar laptop sy logout hoey to cellphone sy login…
Khany peeny ka hosh nae bas FACEBOOK py status dalny ki jaldi hai, or  jo FACEBOOK instemal na kary wo to bhai is ma’ashary (society) main haqaarat sy dekha jata hy .Meri is post ka hargiz ye maqsad nahi k main FACEBOOK k bilkul khelaf hon, bal k FACEBOOK puri duniya ka sabsy mashoor social network hy jis ki popularity din ba din barh rahi hai, thory hei saaloon main one billion sy zada users is social network k garvida hochuky hain, ab itny sary log isko istemaal kar rahy hain to yaqeenan is k faidy bhi hongy.


  • FACEBOOK ek dusry sey baat cheet karny ka behtereen zarya hai jo k bilkul muft hai iski badolat 24 hours duniya k kisi bhi kony main rabta kia jasakhta hai. 
  • Users apni feelings,apny roz marrah k haalat status k zarye share karty hain or apny friends sy foran feedback hasil karty hain.
  • Bohat sy karobari edaro ny apna karobaar barhany k liye FACEBOOK  py page banaya hoa hyai jis main un k karobar k mutaliq new policies ati hain jo un k liye faida mand hoti hain is k alawa yahan pey users ki tafreeh or maza k liye mukhtalif kisam ki applications,quiz or games hain,Or fankaar,mashoor shaksiyaat ,tanzeemo ny bhi apna page banaya hoa hy jis py wolog apny fans k liye updates dety hain.

Yeh to baat hogai FACEBOOK k fawaaid (advantages) ki ,ab baat hojaey zara FACEBOOK k nuksanaat ki to kisi ny kia khoob kaha hy:
Facebook is an addiction not a website


  • Dusra or sab sy khatarnaak nuksaan ye hai  k log fake id or profile bana k blackmailing karty hain khaas tour sy larkion ki tasveeron ka bht galat istemal hoty hai jis ki waja sy aiy din larkiyaan khudkushi kar rahi hain .
  • FACEBOOK py bohat say aisy groups or fan pages bany hoiy hain jo dusry mazhab,shaksiyaat or qomiyat k bary main na munasib baten keh kar loogoon main ishteyal paida kar rahy hain jis ki waja sy dunya ka aman tabah horha hai.
  • Din raat FACEBOOK  k istemaal sy logon ki sehat py bhi bht bura asar parta hy or wo bht sy bemario ka shikar hojaty hain jesa k over weight ,eye problem, depression, physical stress etc.

  • Dunyia bhar k youngsters FACEBOOK k itny aadi hochuky hain k unka apny ass pass k mahool sy dyhaan hatchuka hai unhony apni ek dunya banali hai jo FACEBOOK k andar hay.



In sab masaail ko hal karny k liye zaroori hai k apny ap ko FACEBOOK ka aadi na banain apny tamam kaam khatam karny k baad thori dair k lia FACEBOOK istemaal Karen ta k apka demag fresh hojaey....

 

No comments:

Post a Comment