Alerts

Degree to Degree hoti hai , jinnah uni ki ho ya AXACT ki

Thursday 13 March 2014

ONCHI HEEL HADIYON K LIYE AALA-E-QATAL

Khoobsurat Chehrey Or Mutawazan Jism Key Sath Agar Qad Bhi Lamba Ho Tou Shaksiyat  Mai Char Chand Lag Jaty Hein.Har Koi Aap Ka garweda Ho Jata Hai Or Aap Ba aasanai Kisi Bhi Mehfil Ki Ronak Ban Jatey Hain. Lamba Qad Bila Shuba Insaan Ki Shaksiyat Ko Mazeed Dil Kash Banata Hai. Har Insan Ki Khuwahish Hoti Hai Key Us Ka Qad Lamba Ho Ta Key Log Uski Shaksiyat Sey Mutasir Ho Sakein. Apni Is Khuwahish Ko Pura Karney K Liye  Aksar Khwateein  Heel Ka Istamal Karti Hein Ta Key Wo Khud Ko Lamba Mehsoos Kar Sakein 
 
Lakin Lambey Qad Ki Khuwaish Mai Aksar Khawateen Ye Bhool Jati Hein Key Onchi Heels Un Key Liye Kis Had Tak Khatarnaak Ho Sakti Hei. Onchi Heels Sey Waqti Toor Par Qad Lamba Ho Jata Hai Lakin Is Key Manfi Asraat Bht Zada Hein Jo Aap Ki Shaksiyat K Sath Sath Aap Ki Sehat Ko Bhi Mutasir Kartey Hein. Chotey Qad Wali Khawateein Key Elawa Normal Qad Ki Khawateein Mai Bhi Aj kal Heels Pehney Ka Rawaaj Bhi Zoor Pakarta Ja Rha Hai Jis Ki Waja Sey  Khawateein Ko Bht Sey Masail Ka Samana Karna Parta Hei Or Wo Jism Key Mukhtalif Hisoon Mai Dard Ki Shikayat Karti Nazar Ati Hein.
Onchi Heels Ghutney Mai Shaded Takleif Ka Bais Banti Hei.  Heels Pehan Kar Chalney Sey Ghutney K Jooron Par Dabao Parta Hai Jis Ki Waja Sey Na Siry Chal Kharab Hoti Jati Hai Balkey Aap Joron Key Dard Ki Mareeza Bhi Ban Sakti Hein
 
Onchi Heels Hadiyoon Key Liye Buhat Nuksan Deh Hei Heels Pehan K Na Sirf Aap Buhat Jald Thakan Mehsoos Karti Hein Balkey Ye Hadiyoon Ko Bhi Kamzoor Karney Mai Ehm Kirdaar Ada Kari Hei. Is Liye Hamesha Koshish Karein K Aisi Chapel Pehnein Jo Aram Deh Ho. Agar Aapka Qad Chota Hai Tou Aap Ek Inch Ki Heel Pehan Sakti Hein. Is Sey Aap Thakan Bhi Mehsoos Nae Karein Gein Or Kisi Jismani Aziyat Ka Bhi Samana Nhi Karna Parey Ga.

Onchi Heel Pehaney Sey Sab Sey Zada Zoor Panjoon Or Anghothoon Par Parta Hai Jab Aap Zada Heel Wali Chapel Pehan Kar Chalti Hein Tou Aap Key Panjey Par Zada Dabao Parta Hai Kiun K Heel Ki waja Sey Aap Ka Sara Zoor Panjoon Par Hota Hai. Is Liye Panjoon Ka Dard Barh Jata Hai Or Ungiliyoon Ki Hadiyoon Mai Bhi Masla Paida Ho Jata Hai. In Taman Masail Sey Bachney Ka Wahid Hal Yahe Hai K Heel Ka Rozana Istamaal Na Karein .

Agar Aap 3 Inch Ki Heel Ka Istamal Karti Hein Tou Aap K Panjey Par Iska Dabao 76 % Hota Hai Or Takleef Key Chances Bhi Barh Jatey Hein. Is Tarah Agar Aap 2 Inch Ki Heel Pehanti Hein Tou Is Ka Dabao 57 % Hota Hail Akin Agar Aap 1 inch Ki Heel Ka Istamaal Karti Hein Tou Is Ka Dabao 25 % Hota Hai Jis Sey Zada Pareshani Ka Samna Nae Karna Parta . Is Liye Heel Ka Intakhaab Hamesha Soch Samajh Kar Karein Or Apni Jisamat Ko Bhi Maloohey Nazar Rakein Q K Fashion Hei Sab Kuch Nae Hota Apni Sehat Ka Bhi Bharpoor Dihaan Rakhein Ta Key Aap Mustakbil  Mai Takleef Or Pareshani Sey Bach Sakein.

1 comment: