Alerts

Degree to Degree hoti hai , jinnah uni ki ho ya AXACT ki

Wednesday 19 March 2014

SANGDIL MAA YA BEHIS MASHRAA


Maa Is Duniya Mai Sab Sey Anmol Rishta Hei Ye Kehna Galat Na Ho Ga Is Duniya Mai Sab Sey Pur Khaloos Or Muhabat Karny Wali Hasti Sirf Maa Hei Hai. Apny Bachy Ko Janam Dyti Hai Usy Is Duniya Ki Sard O Garam Hawa Sy Mehfooz Rakhti Hai Or Agar Kabhi Aulad Ki Jan Par Ban Jaey Tou Apni Jan Dyny Sey Bhi Dareig Nae Karti.


Par Lahore Johar Town Ki Bisma Kaisi Maa Hai? Kia Wo Is Duniya  Ki   Makhlooq Hai ? Kia Us K Seeny Mai  Maa Ka Dil Nae? Kia Us K Dil Mai Khuda Ka Khoof Nae? Kia Wo Ek Achi Maa Nae? Akhir Kiun ? Us Ny Apny 2 Masoom Bachoon Ko Apny Hei Hatoon Mout K Muh Mai Daal Diyaa. 2 Sala Minahel Or 8 Mah K Yousaf Ney Aisa Kon Sa Gunah Kia K Un Ko Itni Bhiyanak Saza Mili K Wo Is Duniya Ko Dekhyy Bagair Hei Iss Duniya Sy Chaly Gaey. Wo Bhi Kia Lamhat Hon Gayn Jab Bisma Ney Donu Bachon Ko Mout Ki Wadi Mai Pohanchaya Ho Ga  Tou Arsh Or Farsh Tak Kamp Gaey Hon Gayn. Masoom Manahil Ny Na Tou Koi Zid Ki Or Na Hei Koi Farmaish Pir Bhi Maa Ney Isko Pani Mai Dabo Diya. Yousaf Tou Sheir Khuwar Tha Ya Tou Wo Hansta Ho Gay A Pir Ro Ro K Doodh Mangta Ho Ga Jab Maa Ney Osko Takiya Rakh K Mara Ho Ga Tou Us Ko Rony Ka Bhi Moqa Nae Mila Ho Ga Or Wo Wapis Janat Chala Gya Ho Ga Jahan Sey Wo Aya Tha.


Zamana Keh Raha Hai Bisma Ko Phansi Do Wo Zalim Maa Hai Or Ek Safaak Aurat Hai Us Ko Kabhi Maafi Nae Milni Chahye. Ye Do Masoom Phoolon Ki Qatil Hai Ye Aurat Pagal Hei. Lakin Aisa Nae Hai Bisma K Dil Mai Bhi Mamta Hai Wo Bhi Maa Ka Dil Rakhti Hai Jo Apki Mari Maa K Pass Hai. Bisma K Pass Aannaj K Chand Dany Nae Thy Jis Sey Wo Apny Bachon Ka Pait Bharti.  Bachon Ney Na Tou Khiloney Mangy Thy Na Hei Chocolate Itna Shaoor Hei Nae Kahan Tha In Masoom Bachoon Mai Bas Teen Din Sy Bhook Sy Bilbala Rhey Thy. Shohar Nasha Karta Hai Upar Sy Berozgari Hai Bisma Ko Badqari Par Oksata. Ek Safaid Posh Aurat Apny Bachon Ko Ley K Bheek Mangti, Ya Unko Kisi Falahi Idaron K Jhooly Mai Dal Dyti Ya Apni Izat Bech Kr Bachon K Muh Mai Doodh K Chand Katrey Dalti . Is Liye Dukhon Ki Mari Hoi Maa Ney Bachon Ko ALLAH K Amaan Mai Dyney Ka Faisla Kiya.

Waisy Bhi Jis Mulk Mai Hukmaraan Sirf Kursi K Barey Mai Sochty Hon Wo Awaam Ki Kia Parwah Karein Gayn. Ameer, Ameer Tar Or Ghareib, Ghareib Tar Hota Ja Raha Hai Tou Unki Zaat Ko Kia Fark Parta Hai. Lahore Mai Jahan Hakomat Itny Aalami Record Bananey Mai Masroof Ti Wahan Masharey Ki Be Hisi Ka Bhi Record Ban Geya Ek Maa Ney Apny Bachon Ko Khud  Qatal Kar Diya 

Sirf Hakumat Ko Kia Dosh Dein Masharey Ki Behisi Bhi Urooj Par Hei K Dewar K Sth Jurey Ghar Mai Koi Teen Din Sy Bhoka Kuch Maloom Hei Nae. Ab Bhi Waqt Hai Or Maon Ko Bisma Baney Sy Rokha Ja Sakta Hai Agar Ham Masharey Mai Ek Dosarey Ka Ahsaas Karna Shuru Ho Jayn Ek Dosarey Ki Madad Karein Zakat Dein Sadka O Kherait Dein Tou Shayad Aisa Waqiya Pir Na Ho.…


 

2 comments: