Alerts

Degree to Degree hoti hai , jinnah uni ki ho ya AXACT ki

Saturday, 15 March 2014

MULK KE AZEEM BETY


 
Duniya ki is bheer mein jahan har ek insaan ek doosray se aagay nikalne ki race mein hain, jahan zindagi ki har sahooliyat ba-asni un tak pohonch jati hai, jahan aala tabkay ke log apne bachon ko achi taleem se aarasta karte hain.Un ki har khwaahishat bina bolay poori kardi jati  hain. Jahan eid ho ya koi aur mauqa sab ek sath manate hain. Pakistan ka match ho ya Lala ka Chhakka ho sab ek sath jashan manate hain. Leikn us waqt hum log in sab cheezon mein kuch logon ko bhool jaate hain . Wo log jo hum sabse zyada mulk se pyar karne walay, mulk keliye qurbaan honay walay, jinko hum yeh keh kar dhudkaar dete hain ke yeh hamare paison par pal rahe hain. Siachen ki sardi mein rehne ko tayar, dushman ki goli seenay pe lene ko tayar.. haan yeh hamare mulk ke afeaaj hain jo kisi bhi waqt Shaheed honay aur Ghazi bannay ko tayar hain. Par kabhi yeh socha hai kyun ? kyun yeh log apne apno se door, apne aish-o-araam chor kar mulk keliye mar mitne ko chalay aaty hain. Hum log jo bina daray  araam se har jagah ghoomte hain aur araam se zindagi guzaarte hain, sardiyou mein heater aur garmiyon mein A/C istemaal karte hain. Par ek wo log hain jo sardi me na heater aur na hi garmiyon mein A/C istemaal karty hain. hum log sukoon se soyen tou wo poori poori raatain jaagte hain. Humare mulk ke kitne bety jawan sarf mulk aur kaum ke liye Shaheed hove take  mulk ko buri nazar se bacha sake. Par hum ne kya kia aaj tak kabhi un ki qurbaniyou ke bare me socha. Agar socha hota tou ye na khety ke ye humare paiseou pe pal rahe hain...



No comments:

Post a Comment